Facial kaise karte hain janiye
Facial ek esa tarika h jo hamari skin ki sari dirt or pollution se jama gandagi ko badi aasani se nikal kr skin ko refresh kr deta hain or hamari skin fir se glow karne lagti h
market main kai tarah k facials available h jo har kisi skin type k liye bane hote h to aap esa facial choose kare jo apki skin type k hisab se bilkul perfect ho aaiye jante h facial kaise karte h
Facial kaise karte hain Step 1.
Facial karne k liye hame sabse pehle apni skin ko deep cleaning karna hota h jo hum ek achhe cleanser se karenge
Iske liye hame apne hatho me thoda cleanser leke apne chehre per circuler massage karni h
Or 1minute bad saf or normal pani se dho le
Vistar se dekhne k liye pade: फेशियल करने का तरीका।फेशियल करने का स्टेप इन हिंदी
Facial kaise karte hain Step 2.
Second step me hame scrubing karni chahiye iske liye koi achha scrub lekar 15 minute tk dhire dhire massage kare or normal pani se dho le
Isse skin pores open ho jate h iske liye aap toner ya gulab jal apply kare ,ise toning kha jata h
Facial kaise karte hain Step 3.
Scrub karne k baad massage cream apply kare, kuchh facial me jel bhi apply kiya jata h. cream ki massage ko 15 se 20 minute tk kare or bich me ruk ruk kar kare esa karne se skin garm nhi hogi
Massage se face ka blud circulation badta h
or skin glow karne lagti h
Facial kaise karte hain Step 4.
Facial me mask bohot important hota h ise skin tightening yani skin ki kasavat k liye kiya jata h,or isse skin glow karne lagti h
To friends ye thi kuchh aasan steps, jinke madhyam se aap khud se apna facial kr sakti ho or apna samay or paisa bacha sakte ho agar apko hamari post "in asan steps me janiye facial kaise karte hain" pasand aai ho to ise share kare or hame jarur follow kare.
Post a Comment